notícias musicais

top 13 artistas

top 13 musicas

Confira a Letra Mat Kar Itna Garur Surat Pe

Alka Yagnik

Mat Kar Itna Garur Surat Pe

Mat kar itna garur surat pe ai haseena
teri surat pe nahin hum toh teri saadagi pe marte hain

dilbar nazrein milaake humko yuun dekh na
hum to aise deewaano ki deewaanagi se darte hain

kyun hamaara picha karta hai, bin tere dil aahein bharta hai
kyun fida hai khilte rango pe, naaz na kar gore ango pe
hogi na teri meri dosti, achchi nahi is kadar berukhi
dilbar nazrein milaake humko yuun dekh na
hum to aise deewaano ki deewaanagi se darte hain

din hai tera teri raate hain, yeh deewaanepan ki baatein hain
tu hamaare khaabo mein aaye, tu kahi paagal na ho jaaye
ulfat hamaari tere naam hai, humko mohbbat se kya kaam hai
mat kar itna garur surat pe ai haseena
teri surat pe nahin hum toh teri saadagi pe marte hain

husn to do din mein dhal jaaye, kyun hamein baaton mein uljhaaye
ishq hai sadiyon ka afsaana, tu humein lagta hai parwaana
jaadu sanam tujh pe chal jaayega
agar paas aaya to jal jayega.
agar paas aaya to jal jayega.
bolo kuch to bolo
dilbar nazrein milaake humko yuun dekh na
hum to aise deewaano ki deewaanagi se darte hain

Tracker