notícias musicais

top 13 artistas

top 13 musicas

Confira a Letra Phir Saawan Rut Ki Pawan Chali

Ghulam Ali

Phir Saawan Rut Ki Pawan Chali

phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye

phir kuunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye

pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye

phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye

din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye

Tracker