notícias musicais

top 13 artistas

top 13 musicas

Confira a Letra Benaam Sa Ye Dard

Jagjit Singh

Benaam Sa Ye Dard

(Benaam sa yeh dard
thahar kyon nahi jaata) -2
jo beet gaya hai vo
guzar kyon nahi jaata
benaam sa yeh ...

Sab kuch to hai kya dhoondti
rahti hain nigaahein
Kya baat hai main
waqt pe ghar kyoon nahi jaata
jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jaata

(Vo ek hi chahra to
nahi saare jahan main) -2
(Jo door hai vo dil se
utar kyon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh....

(Main apni hi uljhi hui
raahon ka tamasha) -2
(Jaate hai jidhar sab
main udhar kyoon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata

(Vo naam jo barson se
na chehra hai na badan hai) -2
(vo khwab agar hai to
bikhar kyoon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh....

Tracker