notícias musicais

top 13 artistas

top 13 musicas

Confira a Letra Abhi Woh Kamsin

Jagjit Singh

Abhi Woh Kamsin

Abhi wo kamsin ubhar raha hai
Abhi hai us par shabaab aadha
Abhi jigar mein khalish hai aadhi
Abhi hai mujhpar itaab aadhaa

Mere sawaal-e-wasl par
Tum nazar jhuka kar khade huye ho
Tumhi bataao ye baat kya hai
Swaal poora jawaab aadhaa

Laga ke laare pe le toh aaya hoon
Sheikh sahaab ko maiqade tak
Agar ye do ghoont pi le
Milege mujhko sabab aadha

Kabhi sitam hai kabhi karam hai
Kabhi tawajjo kabhi tagaful
Ye saaf zaahir hai mujhse ab tak
Hua hoon main kaamyaab aadhaa

Tracker