notícias musicais

top 13 artistas

top 13 musicas

Confira a Letra Main Toh Bas Patni

Sadhana Sargam

Main Toh Bas Patni

main to bas patni hoon unki (tu saajan ka pyaar hai) - 2
jitna mera hakk hai unpar tera hi adhikaar hai
tu saajan ka pyar hai
na koi mera hakk unpar na koi adhikaar hai
tuhi suhaagan hai saajan ki (tu hi unka pyaar hai) - 2

iss dehlij ko paar na karna warana gajab ho jayega - 2
hara bhara ye ghar behna bin aag lage jal jayega
tu nahi tulsi iss aangan tu toh ghar ki bahaar hai
tu saajan ka pyar hai

paani par bhoole se bani aur miit gayi woh tasveer hoon - 2
maalik bhi likh kar roya hain main aisi takdeer hoon
main dali se tooti pati mera ghar na dwar hai
tu hi unaka pyar hai

maa hokar bhi betiko tum maa se judaa karati hai - 2
phool se bachapan ki ankhon mein kyun sawan bharati hai
ye pooja kaa phool hai pagali pyar kaa upahar hai
tu saajan kaa pyar hai

laut ja tu apane ghar tu mujhe andhiyaron mein kho jane de - 2
main raste ki dhul hoon mujhako raste mein reh jane de
katon se khushabu ki chahat karana to bekar hai
tu hi unaka pyar

(ram ram kehna hai aab to - 2 aant mein ladali behna) - 2
jis ghar ko main chhod chali hoon tujhe usime rehana
hath jodakar ye binati hai mat kehna inkar hai
tu saajan ka pyar hai - 3

Tracker